Pehli dil ki bat
Are are are,Janab aap kider hain hum to ider hain , hum hai "Job wali bahu". Nam sun kr kuch atpta to lga hoga bt main yahan kuch bhi susral ka criticize ya fir bahu ki tarif karne nahi aai, bs yuhi kuch batein karne aai hui apne dil ki.
Main job krti hun,aur bahu bhi ,nai bat to nahi hai sab ke liye, apke pdos ke har teesre ghar pr bahu job kr rehi hai but it's not easy.
Kabhi-kabhi dil bahut thak jaata hai,
na office ka kaam khatam hota hai
na ghar ki zimmedariyaan.
Subah uthkar sabke liye sochti hoon,
kyunki strong dikhna padta hai,
par is muskaan ke peeche
ek ladki hai
jo bas thoda sa pyaar,
thoda sa samajhna chahti hai.
Main sirf bahu ya employee nahi hoon,
main ek chupa hua sapna hoon jo har job wali bahu ki ankhu main hai, jo har job wali bahu ki feelings hain.
Kabhi agar chup ho jaaun,
to samajh lena –
shikayat nahi,
bas thakaan hai… 💔
Comments
Post a Comment